Header Ads

Moses And The Ten Commandments - Mount Sinai | Prophet Musa -

Hazrate Moosa Ki Allah Subhanahu Wa Ta'aala Se Mulaqat-

ASSALAMU ALAYKUM
Khush Aamdeed

Mount sinai jise israeeli log har sinai, qadeem misri log toora syny aur rivayati taur se jabal moosa ke naam se behtar jaana jaata hay. 


Is muqaddas jaa ka ziqr Khudawand ne Injeel Muqaddas me bhi kiya hay ki ye wo muqam hayn jahaan Hazrat moosa ne Allah rabbul izzat ki taraf se 10 ahkaam haasil kiye. is pahad ki lambaai 2,285 meter hay aur feet me gina jaae to kul lambaai 7,497 feet hay. ye pahad mount catherine naami gaar ke paas maujood hay aur is gaar ke chaaron simt ki jaanib pahaadi silsile maujood hayn. mount catherine 2,629 meter ya 8625 feet ki lambaai par misr ka buland tareen gaar hay, arab nubian sheild ki tarakki ke aakhiri marhale ke dauraan jabal moosa ki chataano ki taameer hui. 

jagraafiyaai taur par jabal-e moosa ek ring complex waazeh karta hay, jisme aatish fishaa bhi shaamil hayn. is pahad ki chattanon me alkaline granites paae jaate hayn. aam taur par jabal-i moosa par ujagar chattanon ki fitrat se ye waazeh hay, ki ye ek-doosre se mukhtalif gahraai par taameer hui thi. pahad ki bilkul shumaali simt me 6th sadi ki saint catherine khaanqaah maujood hay.  pahad ki choti par ek masjid maujood hay, jis par aaj bhi musalmaan namaaz ki adaaigi ke liye istmaal kiya karte hayn aur iske paas ek orthodox chapel bhi maujood hay jise 1934 me girje ke khandahar par banaya gaya tha par ise vahaan rahne vaale saleebi apni ibadat ke lie istmaal nahi kiya karte hayn. 

ye chapel us chataan ko ghere hue hay, jise bible ke pattharon ki goliyon ka zariaa maana jaata hay, choti par Hz. moosa ki gufa bhi hay, jahaan musalmano ke mutabiq hazrat moosa ne nabuvvat ke aylaan ke liye Allah ke hukm ka intzar kiya tha aur bible ke mutabiq Hz. moosa ko das ahkaam haasil hue the. abal-i moosa ke kaee siyaaq o sabaaq quraan-i qareem me maujood hayn, kaee maqamaat par is pahad ko toor - e - seena aur toor - e - sineen pukara gaya hay, kaee maqamaat par at toor aur al jabal ke naam se pukara gaya hay. jabal-i moosa (mount sinai) me maujood vaadi - e - toowa bahut muqaddas jagah hay lihaza is khitte ko al buqah al mubarakaah kaha gaya hay. jabal-i moosa ko koh-i toor ke naam se behtareen jana jata hay. Hz. moosa ke sath sath unke bhai Hz. Haroon se bhi is pahad ke kayi qisse mansalk hayn.

Jabal-i Moosa Se Hz. Moosa Alayhissalam Ka Kya Talluk Hay?

Koh-i toor ko kaee mazahib me bahut ahamiyat haasil hay. yahee vo pahaad hay jahaan khaaliq-i qaaynaat janaab-i haq ne apni tajalli zaahir ki.noor-i ilaahi ke sabab ye pahaad uski haybat na sah saka aur jalkar raakh ho gaya. is phaad par kisi bhi qism ki koi nibaat nahi ugti naa hi yahaan paani maujood hay, wo maqaam jahaan Hz. moosa ko Allah ne khud se ham kalaam hone ka sharf bakhsha aur Bazaate khud Allah rabbul izzat zaahir hua. is pahaad se kaee ayse haqaaiq vaabasta hayn ki jo ise deegar pahaadon se mutfarid kar dete hayn.

isi pahaad par Allah rabbul izzat ne apni pahli aasmaani kitab tavrayt Hz. Moosa par naazil farmaai, namaaz-i fazr aur etqaaf ki sunnat ka aaghaaz hua aur jo pahad ek hi din me do qism ke darja haraarat tabdeel karta hay. din ke vaqt me ye maqaam na qaabil-i bardaasht had tak garm aur raat ko behad thanda ho jata hay isiliye zaayreen iski ziyarat raat me tay karte hayn. Hz moosa bhi aadhi raat ko yahaan tashreef laate aur subah baad namaz-i fazr vaapsi laut jaaya karte the. ye pahaad subah ke vaqt soorkh (red) din ke vaqt khaaki ya halka surmai aur raat ke vaqt syah rang le leta hay, doosre alfaaz me kaha jaae to ye pahaad teen qism ke rang badalta hay.

koh-i toor ki ahamiyat ka mutaalla hame is baat se raushnaaz karvata hay ki Rabbe kareem ke nazdeek is maqaam ki kitni ahamiyat hay. Allah ne sabse pahle isi maqaam ki qasam khaai thi aur bani isra'eel ke 40 afraad ko maut dekar dobaara zinda kiya tha. Is maqaam par kaee ambiya ne apni ibaadaat muqammal ki. baad aylaan-i naboovvat aap apne qabeele ke sath is pahaad ki vaadi-i toova me hizrat le aaye the. Hazrat moosa ishq-i ilaahi me is tarah magn raha karte the ki unhone Allah se uske deedaar ki zid ki.

Allah rabbul izzat ne vaapis javab me kaha "Ay moosa tum mujhe hargiz nahi dekh paaoge" yahi zid 3-4 baar moosa alayhissalam karte rahe aur aakhirkaar jab Allah ke noor ki suee ki nok jitni zara si tajalli hazrat moosa aur koh-i toor par giri. Hz moosa behonsh ho gaye aur koh-i toor naami vo azeem chattan jalkar raakh ban gayi. Hz. moosa 40 roz tak us pahaad par behonsh hue rahe. 

khaalik-i kaynat ke noor ki zarra barabar ki tajalli ka Hz. moosa par girne ke baad aapki aankhon aur chehre ka ye aalam hua ki aap ki nigaahein aysi tez hueen ki raat ki taareeki me 30 meel door maujood cheenti ki musaafat ka ilm ho jata tha aur aapka chehra-i mubarak bhi behad nooraani ho gaya tha ki har vo shakhs jiski aap par nigaahein thaharti, zyada dekh na sakta.

Post a Comment

0 Comments