Allah ta'ala ne surah al qahf me farmaya hai, "aur jab vo do gaar ke darmiyaan pahuncha to vahaan maujood yajuj majuj ke zulm se mazloom ek kaum ne us se kaha
|
ASSALAMU ALAYKUM Khush Aamdeed
HAZRAT ZULQARNAYN - 2. PART (URDU) ay zulqarnayn yajuj majuj is mulk me bahut bade fasaadi hain roj yahaan aate hain darya ka sara paani pee jate hain aur sari charagaah saaf kar jate hain
to kya ham aap ke liye samaan ka intzaam kar dein is garz se ki aap hamare
aur yajuj majuj ke darmiyaan ek deewar khadi kar dein zulqarnayn ne javab me
kaha mere rab ne jo mujhe apne ikhtiyaar me diya vahi mere liye qafi
hai". beshaq ye baat sach hai ki ye deewar
aaj bhi vast asia ke ilaqe me maujood hai. yajuj majuj khud yafis bin nooh ki
aulaad hi hain yani beshaq ye kahna bilkul bhi galat nahi hoga ki yajuj -
majuj aur zulqarnayn ek ddosre ke bhai ya kuch alag rishtedar bhi ho sakte
hain. yajuj majuj bahut hi zyada tadaad me
ek fasadi giroh hai ye jaanvaron ki tarah zindgi bashar karne vali behad
vaishi, jangli aur khoonkhar kaum hai. guroobe aaftaab se tuloo - e -
aaftaab ke vaqt tak apne gaar se bahar nikalkar tamaaam charagah, sabziyaan
aur khetiyaan kha jate the. ek hi baar me samandar ko khushk kar dete the
hatta ki insaan aur zahreele janvaron ko bhi nahi chhodte the. hazrat zulkarnayn se logon ne inke
shar se panah mangi aur iske evaz kuch maal dene ki peshkash ki is par
zulqarnayn ne kisi bhi tarah ka mal ya daulat lene se inkar karte hue kaha ki
mujhe tumse kuch nahi chahiye tum apni jismani taqat se meri madad
kar mere rab ne jin nematon se mujhe navaza hai vahi mere liye qafi hai. tab
zulqarnayn ne donon gaaron ke darmiyaan khudayi shuru ki jab paani nikal ka
bahne laga, to us par pighlaye tambe ke
gare se azeem chattanein aur pattharon ko jamaya gaya, lohe ke mazboot takhte
upar - niche chunkar unke darmiyaan lakdi aur koyla bharva kar usme aag lagva
di. aakhir mein pighla hua tamba deewar me pila diya gaya. is tarah maju javar ke aane ke liye
koi jagah baqi nahi rahi na to vo surang laga sakte the na hi oopar chadh
sakte the. yajuj majuj mulke faras ke rihaishi
the aaj bhi vahaan unki aamad ke alamaat maujood hain. paygambare islam farmate hain, "beshaq yajuj majuj rozana is
deewar ko apni zabaan ki laar lagakar kholte hain jab wo sooraj ki shuaayein
dekhte hain to unki kaum ka sardar kahta hai, chalo ab laut chalte hain baaqi
kal khod lenge unke jane ke baad Allah rabbul izzat is deewar ko ibtidayi
haal se bhi zyada sakht tareen kar deta hai. hatta ki jab Allah ta'aala chahega ki
ab inhein jaane diya jaye to vo deeewar me surakh karenge. jab unhein sooraj ki shuaayein
nazar aane lagegi to fir unka sardar kahega ki insha allah baaqi ka kaam kal
karenge abhi laut chalte hain unke insha allah kahne ki barkat se kuch aysa
manzar hoga ki jab vo fir vapis aayenge to deewar usi haalat me milegi jayse
ki unhone adhoori chhod di thi fir vo surakh khodne me kaamyaab ho jayenge, to vo logon par fir zulm karna
shuru kar denge samandar ka sara paani pee jayenge charagaahein tabah kar
denge log unse khaufzada hokar apne bachav ke liye apne gharon me qayd ho
jayenge. hatta ki maju javar aasmaanon ki
janib jab teeron ki barish karenge to vo teer khoon aaloot hokar unki taraf
vapis lautenge tab maju javar kahenge, hamne zameen o aasmaan dono par galba
hasil kar liya hai to allah ta'aala is kaum ki gardan me ek keeda payda
farmayega jis se ye kaum ek hi baar me halaak ho jaygi". ek hadees me paygambare islam ye bhi
farmate hain, "mujhe us zaat ki qasam
jiske hath me meri jaan hai beshaq jab yajuj aur majuj ke jism ko zameeni
janvar khayenge to vo mote ho jayenge yaani unki charbi sari zameen me fayl
jaygi zameen ka koyi bhi hissa aysa nahi hoga jo yajuj majuj ki charbi se
dhaka hua na ho. hazrat zulqarnayn ne ek dafa purani
kitabon me padha tha k aale nooh se koi shakhs aabe hayaat ka paani pee lega
to use kabhi maut nahi aayegi lihaza zulqarnayn ne safare magrib kiya safar
me aapke sath aapke khalazaat bhai hazrat khizr aiayhis salam bhi the. hazrat khizr ne to vahaan jakar paani
pee liya lekin hazrat zulqarnayn is se mahroom rah gaye. is safar ke baad hazrat zulkarnayn
magrib ki janib jahaan aabaadi khatm hoti thi, ek ayse muqaam par pahunche
jahaan unhein aaftaab dariya - e - syah me guroob hota hua nazar aya us jagah
aapki mulaqaat janvaron ki khaal pahan ne vali kaum se hui jinki giza murda
janvaron ke siva nahi thi ye kaum naasab kahlati thi. is kaum ke log bahut bahadur jangju
hua karte the hazrat zulqarnayn ne us kaum ko apne lashkar se gher liya is se
vo kaum bebas ho gayi chunanche kuch to beimaan ho gaye aur kuch aapke hathon
maqtool ho gaye. phir zulqarnayn ne mashriq ka safar
farmaya hatta ki tuloo'a - e - aaftaab ki sarzameen
par pahunch gaye aur vahaan aapki mulaqaat ek aysi kaum se hui jiske paas
apne rahne ke liye ghar bhi nahi the. is kaum ke log tuloo'a - e - aaftaab
ke vaqt gaaron me chhip jate aur guroobe aaftaab ke vaqt apni rozi ki talash
me nikal jate ye kaum kaume mansaq kahlati thi. hazrat zulqarnayn ne in ka bhi
muhasra kar liya jo log imaan laye unse bahtareen sulooq kiya aur apna bana
liya lekin jo qafirana karte rahe unhein aapke gaizo gazab ka shiqar hona
pda. fir hazrat zulqarnayn apne teesre
safar par chale gaye unhone shumal ka safar tay kiya zulqarnayn shmal ki
taraf do gaar ke darmiyaan pahunche. vahaan rahne vali kaum mukhtalif
zabaanein istmaal karti thi. bamushqil se zulkarnayn ne ishaaron se baat ki
ye vahi kaum hai jo maju javar ke zulmo sitam se mazloom thi is kaum ne
zulqarnayn se yajuj majuj se apna peechha chhudane ki darkhvast talab ki. |

0 Comments