qaara'een jaysa ki ham jante hain toofane nooh se tammam jahan gharq ho gaya tha jisne nooh A.S. ka sath diya wo is toofan se bach gaya.
ASSALAMU
ALAYKUM
Khush Aamdeed
Hz. Zulqarnayn - 1. Part (Urdu)
aur jisne sath na diya wo toofan me hi garq ho gaya. isi tarah nooh A.S. ke chaar bete the
- Ham
- Sam
- Yafis
- Qin'aan
yafis bin nooh ko unke valid ne mashriqi shumaal ki taraf bheja. turkon ke mutabiq yafis bin nooh ke 8 bete the
- TURK
- KHAZAR
- SAQLAB
- RASH
- MING
- CHIN
- KEMEDI.
- TAREEKH
- MAJU JAVAR (YAJUJ AUR MAJUJ)
- Mangol / Mughal
- Tatar
- kurhan (kur khan)
- kirhan (qir khan)
- urhan (orhan/ or khan/ ur khan)
- karahan (kara khan)
oghuzhan / zulqarnayn paydaish ke 3 din pahle hi 3 raaton tak apni valida ke khvab me aane lage aur kaha ki me us vakt tak payda nahi hounga jab tak ki aap musalmaan nahi ho jati. oghuzhan ki valida musalmaan to ho gayi thi lekin unhone apne musalmaan hone ki baat logon aur apne shohar karahan se raaz rakhi kyuki karahan ke qabeele me se jo koi bhi musalman ho jata karahan use saza - e - maut de deta tha.
jayse hi oghuzhan ki valida musalman huyin oghuzhan payda ho gaye. unhone sirf ek baar apni valida ka doodh piya tha aur ek din me hi bolne bhi lage the. oghuzhan ne ghodi ka doodh aur gosht ki farmaish ki thi. 40 din ki umr tak oghuzhan chalne aur firne bhi lage the. jab oghuzhan javaan hue to unhone apne chacha kurhan ki beti se pahli shadi ki. doosri shadi kirhan ki beti se aur teesri shadi apne chacha urhan (orhan) ki beti se ki. jab oghuzhan safar karte hue ek darya ke sahil par pani peene ke liye ruke to wahaan unki ek ladki se mulaqaat hui.
us ladki se oghuzhan ne chauthi shadi kar li. unhone apni pahli do beewiyon ko allah par imaan na lane ki wajah se talaak de
di. teesri biwi ne oghuzhan ke kahne par deene islam qubool kar liya. jab oghuzhan aur unki biwi ke musalman hone ki baat unke valid karahan ko pata
chali to karahan oghuzhan ko marne ke liye unke khayme ki taraf gaya. lekin oghuzhan ne apne valid ka katl kar diya.
Oghuz Khan ke apni teesri aur chauthi biwiyon se 3 - 3 bete payda hue. teesri biwi se
- Gunesh Han (shahe aaftaab / king of sun/ sooraj ka badshah)
- Ay Han (shahe qamar / chand ka badshah / king of moon )
- Yildiz Han (shahe najm / king of star/ sitaron ka badshah)
- Gok Han (shahe sama / aasmaano ka badshah / king of the sky)
- Dag Han (shahe jabal / pahadon ka badshah / king of the mountain)
- Deniz Han (shahe lahr / king of seas / samandaron ka badshah)
oghuzhan ne 40 javanon par muztamil pahli turk fauj tashqeel di isi fauj ki buniyaad par ahista - ahista oghuzhan mazboot hote gaye. oghuz han ne apne chhathe bete ki paydaish par tamam sardaraan ka jirga bulvaya aur kaha,
"me aap sab ka khan hoon, tamaam turk sardaraan talvaarein aur dhaalein har vakt apne paas tayyar rakhein, kut (khudayi taqat) hamari nishani hai, surmayi bhediya hamari jangi pakaar hai. jangal darya aur samandar hamari shikargahein hai, tamam jahaan hamari maydane jang hai, sooraj hamara parcham aur aasmaan hamara khayma hai." is aylaan ke baad oghuzhan ne apne qasid tamaam simt ki jaanib ravana kar diye jisne itaat qubool ki use apna janesheen muqarrar kiya aur jisne na kaha uske khilaf aylane jang kar diya.
oghuzhan ka lashkar turkmenistan hindustan iran iraq misr aur mulke shaam tak fayl gaya is tarah oghuz han in tamaam khitton ke khan ban gaye. muarrikheen likhte hain ki oghuzhan ke daure hukoomat me ek bahut bada ajdaah aur uski kaum jo insaan aur janvaron ko hi kha jaya karte the.unhein qatl karke ek deewar ke peeche qayd kar diya tha aur us ajdaah ki kaum aur insanon ke darmiyaan ek azeem o shaan deewaar khadi kardi thi.
kuch muarrikheen ke mutabiq ye vahi azeem deewaar hai jo zulqarnayn ne maju jawar aur insano ke darmiyaan tameer karvayi thi. saleebi muarrikheen is deewaar ko "wall of gog and magog" ya "gates of alexander" ke naam se jaante hain. kyuki saleebi muarrikheen ka ye maan na hai ki alexander the great ne hi yajuj aur majuj ko is deewar ke peechhe qayd kiya tha. muarrikheen ke yahi dave aur baatein hamein ye man ne par amada kar deti hai ki "oghuzhan", "alexander the great" aur "cyrus the great" hazrat zulqarnayn ke hi alqaab hain.
turkmenistan me maujood oghuz han ke but aur vahaan ki currency par oghuzhan ki tasveer me unke sir par do gesuon vala taaj pahne hue oghuz han ko dikhaya gaya hai aur kyuki zulqarnayn bhi do gesuon (seeng) vala taaj pahna karte the. aur kyuki zulqarnayn naam ka ma'ana, "do seengon vala shakhs" ya "shakhs do seengon ke sath" hai
SURAH AL KAHF (18) AYAT NO. 83 - 101
vo jo mashriq se magrib tak safar karta hai aur insani nasl ke majoo javar ko
ek badi deewar ke peeche hamesha ke liye qayd kar deta hai. kaheen aur maqam par qur'aan batata hai ki kayse deewar ke peecche se yajuj - majuj ki
rihayi se duniya ke khatme ke alamaat zahir hongi, jo qayamat ka din (yavm al
qiyamah) qareeb hone ka dava karenge.
ibtidayi muslim muarrikheen aur mubsirah karne walon ne zulqarnayn ko kayi
aa'dad o shumaar me imtezaaj kiya hai jinmein "alexander the great","parthian hukmraan kisrounis", "junoobi arabi himayarit
hukmraan sa'b dhu maraadi" aur shumali arabi hukmraan al munzir ibn imru al qays" vagairah shamil
hain. 1400 saal pahle qabeela - e - quraysh ke 2 sardaraan akba bin mu'eed aur nasr
bin haris ulama - e - yahood se madad talab karne ke liye madina gaye wahaan
maujood ulama - e - yahood ne un sardaraan se kaha,
"ham tumhein teen savaalon ki tajveez dete hain tum jao aur paygambare
islam se in savalaat ke javabaat mango ye teen ayse savalaat hain jo aaj tak
koi insaan nahi de saka hai, agar paygambare islam sach me allah ke nabi hain to unke liye in savaalat
ke javabaat dena asaan hoga aur agar javabaat na de paye to samajh jana ye ek
fareb hai".
un do sardaraan ne aapki khidmat me ye savaal pesh kiye,
1. us shakhs ka haal bayan karein jisne mashriq se magribi duniya tak ka safar
tay kiya ?
Javaab -: Zulqarnayn
2. un chand naujavaanon par kya guzri jo qafir badshah se khaufzada hokar gaar
me chhup gaye the ?
javaab -: ashaabe qahaf
3. rooh ke mutalliq halaat bayan karein ?
ayse halaat me aap par qur'aan majeed me Allah Rabbul Izzat ne surah al qahf
nazil farmayi. aapne un quraysh sardaraan ke samne surah al kahf ki tilavat pesh ki.
SURAH AL
QAHF
(TAJURMA
- E - URDU)
"ay paygambare islam ahle quraysh tumse zulqarnayn ke halaat daryakht kar rahe hain tum kahdo ki me is kalaame ilahi ko padhkar tumhe suna deta hoon.
hamne ise zameen par hukmrani ata ki thi aur iske liye har qism ka saaz o samaan muhayya kar diya tha usne ek muhim par jane ke liye tayyari ki yahaan tak ki vo shakhs guroobe aaftaab ki sarzameen par pahunch gaya tha aur wahaan use sooraj ek syah daldal ke darya me doobta hua dikhayi diya aur iske qareeb ek giroh ko bhi aabaad paya. hamne kaha ki ye kaum ab tere ikhtiyar me hai tu chahe in par azaab nazil kar ya inhein apna bana le ham na insafi karne wale nahi sarkashi karne wale
har shakhs ko zaroor saza di jaygi har shakhs jo payda hua hai use apne rab ki janib lautna hai iske baad usne mashriq me muhimmaat chalane ka irada kiya yahaan tak ki tuloo'a aaftaab ki aakhiri had tak chala gaya usne dekha ki sooraj ek giroh ki janib nikalta hai jis se hamne koi aad nahi rakhi hai usne phir teesri muhim par jaane ke liye tayyariyaan mukammal ki wo pahadon ke darmiyaan rahne wali kaum ki janib chala gaya us kaum ne kaha ki
yajuj aur majuj roz yahaan aakar tabahi machate hain kya aap unke aur hamare darmiyaan ek deewar tameer karwa sakte hai aur is garz se ham aap ko kuch khairaaj faraham kar sakte hain zulqarnayn ne kaha ki mere rab ne jo kuch mujhe de rakha hai wahi mere liye bahut hai uske baad mujhe kise cheez ki zarurat nahi aap log apni quvvat se meri madad karein. me aapke aur maju javar ke darmiyaan azeem deewar khadi kar doonga fir usne hukm diya ki lohe ki seelein muhayya kari jaayein
fir jab tamaam zarurat ka samaan muhayya ho gaya aur donon gaaron ke darmiyaan buland deewarein khadi kar di gayi tab zulqarnayn ne bhattiyaan sulgakar deewar dhokne ka hukm diya deewar ko is tarah dhoka gaya ki deewar soorkh ho gayi ab na to yajuj majuj is par chadh sakte the na hi surang khod sakte the. zulqarnayn ne kaha ye sab mumkin ho jana mere rab ki meharbani hai.
jab mere rab ki farmayi gayi baat zahoor me aaygi to vo is azeem deewar ko dhahakar reza - reza kar dega aur ye baat hargiz talne vali nahi hai". zulqarnayn ne jo deewaar tameer ki thi vo aaj bhi usi haal me maujood hai ye deewar lohe aur pighle hue tambe se bani hui hai. in tamaam savalaat ke javaab dene ke bavajood ahle quraysh ne zulqarnayn ke ahval ko afsanvi dastaan karaar dekar apne dave se mukar gaye. in sab baton ko kayi muarrikheen ne bahas ki. ibtidayi advaar me alexander the great ko zulqarnayn qarar diya gaya iski saltanat magrib se mashriq tak kayam thi.
lekin alexander to intihayi zalim aur butparast hukmraan tha jabki zulqarnayn musalmaan hone ke sath - sath raham dil aur insaf pasand badshah the. jab baat aati hai ki wo ulema - e - yahood zulqarnayn ke bare me kayse jante the ? to javaab ye hoga ki jab yahoodi allah par yaqeen rakhte the tab iran me maujood babul soobe me kisi daur me ek butparast aur zalim badshah bakhtnasar ki saltanat kayam thi uske daur me yahudi wahi ke rihaish pazeer the. yahoodiyon par usne kayi zulm kiye the.
jab zulqarnayn ne bakhtnasar badshah se jang ka aylaan kiya aur use shikast di to yahoodi zulkarnayn se bahut khush hue tabhi se yahoodi kaum zulqarnayn ko apna maseeha maan ne lagi thi. hazrat zulqarnayn ek buzurg aurat ke shiqam se payda hue the aur hazrat khizr alayhis salam aapke khalazaat bhai the. hazrat zulkarnayn ne hazrat ibraheem alayhissalam ke daste mubarak par islam qubool kiya tha. kuchh muarrikheen likhte hain ki aap sam bin nooh alayhis salam ki aulaad se hain.
aur muarrikheen ye bhi likhte hain ki jab aap payda hue the tab aapke sir ka hissa do taraf se ubhra hua tha lekin kuch ke mutabiq ki hazrat zulkarnayn do seengo vala taaj pahna karte the lihaza zulkarnayn ke laqab se pukare gaye. aapka daure hukoomat khaleelullah hazrat ibraheem alay his salam ke daur me hi tha.
Mazeed tafseelat jan ne ke liye comment me lazmi batayein.
0 Comments